Kamar dard ki sikayat aaj sirf badi umra ki hi nahi balki yuvano ki bhi samasya ban gai hai.Lekin kuch adato ko badlakar is samasya se kafi had tak aaram pai jaa sakti hai,Aaiye jane kaise.
1.Kamar Dard
Kamar dard ki samasya aajkal ek aam samasya ho gai hai.Sirf badi umra ke log nahi balki yuva bhi iski sikayat karte rahete hai.Iska mukhya karan lagatar kai ghante tak kursi par beth kar kam karna,Baitar jivansaili or saririk sram naa karna hai.
2.Kyo Hote Hai Kamar Dard
Log aksar kamar dard ae paresan rahete hai.Is dard ke kai karan ho sakte hai lekin sabse pramukh karan ridh ki haddi me paresani hai.ridh ke andruni hisso me taral padartho ki kami hone ke karan aas-pass ke hisso main haddiya badhne lagti hai jisase kamar main dard hota hai.
3.Jin Genes Ke Karan
Vaignaniko ke anusar kamar main dard ka karan aapke jin main chupa hota hai.Adhed umra ki lagbhag har tisari mahila ko ridh sambadhi paresani hoti hai.Jankaro ko manana hai ki in maise lagbhag 8% pratisat mahilao ko yah bimari virasat main milti hai.
4.Junk Food Ka Adhik Sevan
Lagatar ucch keleri or kam poshak tatvo vala aahar lene se vajan badhane lagta hai.Jiska sidha asar kamar par padta hai or kamar dard hone lagta hai.Iske alava jyada vajan hone se austiyoporosin hone ki ashanka bhi jyada hoti hai.
5.Anay Karan
Manspesio par atyadhik tanav,Adhik vajanGalat tarike se adhik vajan uthana,Bahut adhik tanav,Jyada samay tak khurshi par bethana,Sarir main lambe samay tak bimariyo kaa hona,Adhik narm gaddo par sona aadi se bhi kamar dard hota hai.
6.Kamar Dard Dur Karne Ke Upay
Adhiktar logobko kamar ke madhye ya nichale bhag main dard mahesus hota hai.Yeh dard kamar ke dono or tatha kulho tak bhi fail sakta hai.Badhti umra ke sath kamar dard ki samasya badhti jati hai.Natija kam karne main paresani.Kuch aadato ko badalkar isase kafi had tak bacha ja sakta hai.Aaiye kamar dard se nijat pane k aaise hi kuch upay ke bare main jane.
7.Yog
Kamar dardcko dur karne k liye yog bahut faydemand hota hai.Bhunjagasan,Salbhasan,Halashan,Utanpadasan,Swasan aadi kuch aise yogasan hai jo ki kamar dard main kafi labh pohchate hai.Kamardard ke yogasano ko yogguru ki dekh rekh main karne chahiye.
8.Tahalne Ki Aadat Dale
Adhik der tak ek hi position main bethkar kam na kare.Har chalis minute main apani kursi se uthkar thodi der tahal le.Iske alava narma gaddedar bistar se parhej karna chahiye.kamar dard ke rogiyo ko thoda sakhat bistar bichakar sona chahiye.
9.Sidha Baithe
Office main kam karte samay kabhi bhi pith ke sahare na baithe.Apani pith ko khursi par is tarah tikaiye ki yah hammesha sidhi rahe.Gardan ko sidha rakhne ke liyebkurshi main piche ki or mota towal mod kar lagaya ja sakta hai.Car chalate vakat sit sakhat honi chahiye,Baithne kaa posture bhi sahi rakhe or car drive karte samay sit belt tite kar lie.
Kamar dard ke liye exercises bhi karni chahiye.Ghumane Jaiye,Tairna ya cycle chalana suraxit exercises hai.Vyayam karne se manspesiyo ko takat milengi tatha vajan bhi nahi badhenga.Tairna vajan kam karne ke sath sath kamar ke liye bhi bahut faydemand hai.Cycle chalate samay kamar sidhi rakhani chahiye.
11.Dhyan Se Zunke
Kamar dard main bhari vajan uthate samay ya zameen se kisi bhi cheez ko uthate samay kamar ke bal na zunke balki pahele ghutane modkar niche zunke or aab hanth niche vastu tak pahuch jae to use uthakar ghutane ko sidha karte hue khade ho jae.
12.Malish Kare
In sabke alava celsium ki kam matra se bhi haddiya kamjor ho jati hai,Isliye Celsiumyukt cheezo ka sevan kare.Sath hi namak mile garam pani main ek towal dalkar nicod de.Iske bad pet ke bal let jae.Dard ke sthan par towal se bhap le.Kamar dard ae rahat pahuchane ka yah ek achuk upay hai.Roj subah sarso ha nariyel ke tail main lahasun ki 3-4 kaliya dalkar garam kar le.Thanda hone par iss tail se kamar ki malis kare
No comments:
Post a Comment